din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon ek shakhs mere shahr mein aaya tha un dinon mera bhi haal un dinon kuchh tha ajib sa us ka bhi dil kisi ne dukhaya tha un dinon sikke kisi ki yaad ke aanchal mein bhar liye chhan-chhan unhen bhi khub hilaya tha un dinon kab tak rahegi bebasi arbab-e-ikhtiyar hum ne bhi ye sawal uthaya tha un dinon aasan nahin ye raste dushwar hain bahut ai ishq tujh ko hum ne bataya tha un dinon apni ghazal se ek taraf chup-chap rakh liya wo sher bas use hi sunaya tha un dinon kuchh log puchhte rahe ye chup si kyun lagi mujh par tumhaari yaad ka saya tha un dinon