din mein suraj hai meri mahrumiyon ka tarjuman zulmat-e-shab mein sitare hijr o gham ke raaz-dan chand suraj hain parae ajnabi hai kahkashan hum faqiron ke liye farsh-e-zamin hai aasman jalwa-e-mashuq bhi hai ek karishma al-aman sat pardon mein nihan ho kar bhi har jaanib ayan manzil-e-girya kahan hai chashm-e-tar ko kya khabar ta-abad bhatega mere aansuon ka karwan dil ko jaana tha gaya ek faltu si chiz tha sina-e-ashiq mein yaro dil ki gunjaish kahan bas yahi ek kaam baqi tha jo karna hai mujhe main mohabbat bo raha hun nafraton ke darmiyan ye fasana ishq ka yani khazana pyar ka sath hai tishna azal se dastan-dar-dastan