bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya rang-e-chaman dikhaega sina-e-dagh-dar kya gumbad-e-gard-baad hai sar-ba-falak har ek taraf dasht-e-junun mein rah gai qais ki yaadgar kya talkh hai zist kijiye kis liye talkh-tar ise khurrami-e-guzishta ko roiye bar bar kya sham-e-visal se ho kya mahw-e-fareb-e-arzu yaad nahin rahi hamein subh-e-wida-e-yar kya aap hi mit-mita ke hum khak-e-rah-e-fana hue aur mitaegi hamein gardish-e-rozgar kya