din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae aur hum rah-e-wafa mein koi do gam aae tum kaho ahl-e-khirad ishq mein kya kya biti hum to is rah mein na-waqif-e-anjam aae lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsas mili kaun kahta hai hum us bazm se nakaam aae wo bhi kya din the ki ek qatra-e-mai bhi na mila aaj aae to kai bar kai jam aae ek hasin yaad se wabasta hain lakhon yaaden ashk umand aate hain jab lab pe tera nam aae si liye hont magar dil mein khalish rahti hai is khamoshi ka kahin un pe na ilzam aae chand diwanon se raushan thi gali ulfat ki warna fanus to lakhon hi sar-e-baam aae ye bhi badle hue haalat ka partaw hai ki wo khalwat-e-khas se ta jalwa-gah-e-am aae ho ke mayus main paimana bhi jab tod chuka chashm-e-saqi se piya pe kai paigham aae shahr mein pahle se badnam the yun bhi 'zaidi' ho ke mai-khane se kuchh aur bhi badnam aae