din-o-duniya bhula ke baithe hain rang aisa chadha ke baithe hain ishq bhi maqsad-e-hayat nahin ishq ko aazma ke baithe hain ek shikwon bhara kiya massage ek picture jala ke baithe hain phir murawwat mein jast bhar li aur phir nai chot kha ke baithe hain baat se baat ban pade apni baat aage badha ke baithe hain jo mera sath dene nikle the ab wahi ladkhada ke baithe hain hum use yaad kar saken far-far is liye pas aa ke baithe hain