khushk kheti hai magar us ko hari kahte hain kam-nigahi ko bhi wo dida-wari kahte hain fikr-e-raushan ko wo shorida-sari kahte hain yani suraj ko charagh-e-sahari kahte hain jo tere dar se utha phir wo kahin ka na raha us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain kitni be-rahm hai fitrat unhen malum nahin jo use kargah-e-shishagari kahte hain husn ke bab mein 'akbar' ki sanad kafi hai hum bhi har ek but-e-kamsin ko pari kahte hain ruh-e-sayyad pe khuda jaane guzar jaegi kya aam ali-gadh mein hui kam-nazari kahte hain