din par soch sulagti hai ya kabhi raat ke bare mein

din par soch sulagti hai ya kabhi raat ke bare mein
koi baat nikal aati hai kaenat ke bare mein

ek dusre se kab sare sayyare takraate hain
pur-ummid bahut hun aise hadsat ke bare mein

kuchh sahta hun guzarte hue zamane ke lamhon ki saza
kuchh kahta hun na-mumkin se mumkinat ke bare mein

sote jagte uthte baithte apne hi jhagde nahin kam
aur kai zaton ki uljhan ek zat ke bare mein

hairat ka ek apna husn bhi hai larza dene wala
koi pareshani nahin us ke nabaatat ke bare mein

ghalat-salat sab ke apne apne andaze hain warna
kuchh bhi nahin kaha ja sakta kisi baat ke bare mein

jab tak wo pahli tarjih rahega sab khairiyat hai
mausam ko hai tamam aagahi phul pat ke bare mein

qatre ki pahchan hi dariya mein gum ho jaana hai kabhi
kaisa josh-o-kharosh hai us ki mulaqat ke bare mein

dil mein koi chiz chamakti bujhti rahti hai jo 'zafar'
fikrmand bhi rahta hun main usi dhat ke bare mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close