din raat tumhaari yaadon se hum zakhm sanwara karte hain pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain khuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain ab lakh khizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae hum khun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain atraf hamare logon ki ek bhid thi jab tak paisa tha ye jeb hui ab khali to sab log kinara karte hain jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain kyun zakhm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham sab log to dil mein hans hans kar khanjar hi utara karte hain