din wasl ke ranj-e-shab-e-gham bhul gae hain ye khush hain ki apne tain hum bhul gae hain un wada-faroshon se kya kijiye shikwa kha kha ke mere sar ki qasam bhul gae hain jis din se gae apni khabar tak nahin bheji shayad hamein yarana-e-adam bhul gae hain kati hain mahinon hi teri yaad mein raaten ghaflat mein tujhe gar koi dam bhul gae hain ya rahat-o-ranj ab hai musawat hamin ko ya aap hi kuchh tarz-e-sitam bhul gae hain kuchh hosh thikane hon to len nam kisi ka hum de ke kahin dil ki raqam bhul gae hain go barsar-e-parkhash hai 'masrur' se tu ab kya us ko tere lutf-o-karam bhul gae hain