sun mere dil ki zara aawaz dost ai mere mohsin mere hamraaz dost dil mein hai ek wahshat-e-karb-o-bala tu mere sine mein bajta saz dost jo tapish suraj ki sah sakte nahin wo kiya karte nahin parwaz dost dard sahne mein jinhen lazzat mili pa sake wo log hi eajaz dost zindagi bhar jo na bhar pae kabhi bakhsh tu is zakhm ka eazaz dost kya khulus-e-adamiyat hai yahi zindagi ka hai yahi andaz dost kya bataen raaz-e-dil ab hum tujhe dil se kab chhupta hai koi raaz dost maut hai wada wafa karne ka nam ek hayat-e-nau ka hai aaghaz dost khwab hai 'tariq' khayal-e-zindagi pyas ka sahra teri aawaz dost