dip se dip jalao to koi baat bane git par git sunao to koi baat bane qatra qatra na pukaro mujhe bahti nadiyon mauj-dar-mauj bulao to koi baat bane raat andhi hai guzar jaegi chupke chupke jal kirnon ka bichhao to koi baat bane samne apne hi khamosh khada hun kab se darmiyan tum bhi jo aao to koi baat bane dastan chand sitaron ki sunane walo tum mera khoj lagao to koi baat bane muntazir main to ba-har-gam hun sahil ki tarah surat-e-mauj tum aao to koi baat bane jhankta kaun hai ab dil ke shagafon mein 'rashid' zakhm chehre pe sajao to koi baat bane