guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui wo ek machhli samundar shikar karti hui na jaane kitne bhanwar ko rula ke aae hai ye meri kashti-e-jaan khud ko par karti hui wo ek saat-e-masum dil ki parwarda mukar gai hai magar e'tibar karti hui junun ki aakhiri larzida muzmahil si raat jhapak gai hai zara intizar karti hui ye kaisi khwahish-e-na-did hai dorahe par sahm gai hai abhi mujh pe war karti hui lipat ke so gai aakhir sham-e-firaq ke sath shab-e-siyah sitare shumar karti hui safar mein kaisi hararat qarib thi 'khurshid' utar gai hai mujhe dhaar-dar karti hui