dip yaadon ke dafinon pe jala kar soe khud pe uftad nai roz utha kar soe dil ke arman kai ahl-e-sukhan raat gae ek gumnam udasi ko suna kar soe phir shab-e-hijr ke sine pe lagai thokar sher do-chaar nae phir se bana kar soe mujh ko ek bahr-e-aziyyat ka hawala de kar shab kahin wasl ke dariya mein naha kar soe wo teri han mein sada han hi milane wale khud pe ab dagh munafiq ka saja kar soe kal gae raat jawani se rihai mangi bachpane daur ko pahlu mein lita kar soe rabb-ul-arbab ki jari hon ataen mujh pe mere ahbab agar mujh ko dua kar soe din kisi yaad ke sae mein guzara lekin raat hum dard ke qadmon mein bichha kar soe tere atraf hi ghume hai takhayyul mera meri har ek ghazal tujh ko sula kar soe raat bhar nind se rahti hai ladai meri tu mere yar agar mujh ko bhula kar soe ishq to khair 'khalil' ab bhi bulae lekin kis mein himmat hai shab-e-hijr mana kar soe