ye kya padi hai tujhe dil jalon mein baithne ki ye umr to hai miyan doston mein baithne ki chhupai jati nahin zardiyan so dur hun main wagarna hoti hai khwahish gulon mein baithne ki shumar mera bhi karte hain log in mein magar meri majal kahan shairon mein baithne ki abhi na ungli utha mujh pe thodi mohlat de tamiz sikh raha hun badon mein baithne ki mujhe badal ke koi aur hi bana diya hai ki intiha hai ye surat-garon mein baithne ki dikha rahe hain tawatur se khamiyan meri bhagat raha hun saza aainon mein baithne ki nahin majal kisi ki ki muntashir kar de bana chuke hain jo aadat safon mein baithne ki khazane lutte rahenge ye khali hone tak ujad degi ye aadat gharon mein baithne ki khuda ata kare ohda bada gharib ko aur badal sake na wo khu naukaron mein baithne ki khushamadi nahin rakhta hai apne kaam se kaam to kya padi hai tujhe afsaron mein baithne ki ye dil scan karana bahut zaruri hai ki ittilaa hai tere dhadkanon mein baithne ki hayat su-e-adam le ke ja rahi hain 'umar' jo aadaten hain gae mausamon mein baithne ki