diwana ban ke puchhte hain har kisi se hum

diwana ban ke puchhte hain har kisi se hum
tang aa chuki hai zindagi ya zindagi se hum

apne hi shahr mein koi pahchanta nahin
tanha khade hain mod par ek ajnabi se hum

kyon khelti hai ab bhi andheron se zindagi
puchhenge ye sawal kabhi raushni se hum

jo chand ke qarib hai insaniyat se dur
ummid kya rakhen bhala us aadmi se hum

jaane ka is jahan se hamein koi gham nahin
aae the yun bhi kab bhala apni khushi se hum

duniya ne 'shauq' lakhon fasane bana liye
bhule se jab bhi guzre hain un ki gali se hum

fursat nahin ki soch saken kal ki koi baat
uljhe hain 'shauq' is tarah kuchh aaj hi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close