KHirad ki bazm mein charcha bane hue hain hum

khirad ki bazm mein charcha bane hue hain hum
na jaane kab se muamma bane hue hain hum

hamare haal pe hanste hain yun jahan wale
ki jaise koi tamasha bane hue hain hum

sar-e-niyaz jhukaen to kis taraf aakhir
ki jab khud apna hi kaba bane hue hain hum

na honge hum to sitam ko karam kahega kaun
tere suluk ka parda bane hue hain hum

azal se wahm-o-guman mein hai kashmakash jari
ek intizar ka lamha bane hue hain hum

kabhi labon pe hain naghmen kabhi hai mohar-e-sukut
kabhi chaman kabhi sahra bane hue hain hum

tamam chehre pe likkhi hai dastan dil ki
tamam arz-e-tamanna bane hue hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close