diwana ho ke naz kisi ke uThae kaun

diwana ho ke naz kisi ke uthae kaun
hai dil-lagi zarur magar dil lagae kaun

khaslat jafa-shiar hai un ki jatae kaun
jo aazma liya hai use aazmae kaun

saqi nahin to hosh mein rindon ko lae kaun
jam-o-subu hai samne lekin pilae kaun

mana haram ke sae mein yaksar bahisht hai
bazm-e-butan ko chhod ke jae to jae kaun

ulfat ki aag baithe-bithae laga to li
ab dekhna ye hai ki lagi ko bujhae kaun

khamoshiyan nasib-e-nazar par muhit hain
gham-ashna hun git mohabbat ka gae kaun

hai roz imtihan jahan ke nasib ka
kya jaaniye tumhaari nazar mein samae kaun

ek chashm-e-mai-farosh hai masruf-e-intikhab
aise mein gham-nasib ko khatir mein lae kaun

har yas mein rahe ho mere dil ka aasra
hai dard ka sharik tumhaare siwae kaun

phir taza ho rahe hain gham-e-ishq ke nishan
chhupta nahin ye raaz to us ko chhupae kaun

hikmat zarur hai pas-e-parda ba-fikr-e-'shad'
hota nahin jo samne ho kar khuda-e-kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close