jo surat ishq ki paida na karta to koi husn ki puja na karta mohabbat ka kabhi sauda na karta zamana aap ko ruswa na karta firaq-e-did mein tadpa na karta to dil duniya-e-gham paida na karta buton ke ishq mein ruswa na karta khuda kuchh aur karta ya na karta agar ehsan ko bhula na karta bashar duniya ka munh kala na karta tumhaare aariz-e-rangin ke hote hasinon ki koi parwa na karta surur-e-dil agar hota haqiqi qayamat nit-nai barpa na karta bil-akhir hum ne tum par jaan de di ye aalam tha ki marta kya na karta agar saqi ki aankhon mein khatakta to baada-khwar ki parwa na karta jo hota hosh mujh ko be-khudi mein wafa ke raaz ko ifsha na karta ghani rahta na dil jo aashiqi se to shayad husn ko tola na karta udhar tum be-rukhi par 'shad' rahte idhar main dil kabhi maila na karta