diwangi-e-shauq ka saman saja ke la nadan guhar koi sar-e-mizhgan saja ke la fankar tu agar hai to fan ka dikha kamal taswir-e-yar ta-had-e-imkan saja ke la gulshan pe hai khizan ka tasallut to gham nahin dil mein fareb-e-husn-e-bahaaran saja ke la de mahtab ban ke andheron ko raushni murda dilon ke waste darman saja ke la hum aaj teri qaid se aazad ho gae ai zindagi ab aur hi zindan saja ke la phir zakhm mundamil hue jate hain ai nadim tu mera mehrban hai namak-dan saja ke la aalam ka jo 'shafiq' hai rahmat hai sar-basar us ka khayal nazd-e-rag-e-jaan saja ke la