ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha hum se ai husn ada kab tera haq ho paya aankh bhar tujh ko buzurgon ke na dar se dekha apni banhon ki tarah mujh ko lagin sab shakhen chand uljha hua jis raat shajar se dekha hum kisi jang mein shamil na hue bas hum ne har tamashe ko faqat rahguzar se dekha har chamakte hue manzar se rahe hum naraaz sare chehron ko sada dida-e-tar se dekha phul se bachchon ke shanon pe the bhaari baste hum ne school ko dushman ki nazar se dekha