diwangi ki rah mein gum-sum hua na tha! duniya mein apna koi kahin aashna na tha! dhadkan ka dard jism ko tadpa ke rah gaya rag rag mein ek shor-e-masiha bapa na tha! ek kashmakash ke baad talluq nahin raha begana ho ke hum se wo lekin khafa na tha! diwar-o-dar pe parde latakte the har taraf iflas kone kone mein lekin chhupa na tha! zanjiren lakh tutin magar khauf-e-hukmaran majburiyon ke jal se koi riha na tha! ek apni chikh se laraz utthe the baam-o-dar aai na bazgasht koi ham-nawa na tha! aate rahe na jaane kahan se khaton pe khat be-nur chashm-e-nam ne kisi ko padha na tha!