diwangi mein apna pata puchhta hun main ai ishq is maqam pe to aa gaya hun main dar hai ki dam na tod dun ghut ghut ke ek din barson se apne jism ke andar pada hun main tufan mein jo na bujh sake honge wo aur log aandhi se ikhtilaf mein aksar bujha hun main lagta hai laut jaegi mayus nind phir masruf us ki yaadon mein baitha hua hun main in hadson se kah de zara sabr to karen ai zist teri bazm mein bilkul naya hun main kirdar aadhe mar chuke aadhe palat gae is waqt kyun fasane mein laya gaya hun main raushan karo mujhe ki zara tirgi hate bekar kab se taq pe rakkha hua hun main aa aa ke kyun thaharti hain mujh mein hi khwahishen hotel hun ya sarae hun batlao kya hun main sau bar imtihan zaruri hai kya mera kafi nahin hai kah diya tujh se tera hun main kuchh to chamak dikhe mere ashaar mein mujhe muddat se shaeri mein lahu thukta hun main