hansa tha do-ghadi barson magar aansu bahaya tha main jab chhota tha ek ladki se main ne dil lagaya tha mere pairon ke niche ki zamin banjar thi kuchh itni saba ne ek gul kitne zamane mein khilaya tha sulagti dhup mein socho safar kaise kata hoga meri manzil thi kya aur tum ne kya rasta dikhaya tha mohabbat aag hai aisi jo pani se nahin bujhti zamane ne abas shoale ko mutthi mein dabaya tha main khud mahsus karta hun ki ab aazad hun main bhi ki pinjra khol kar main ne parindon ko udaya tha mere hathon pe sukhe phul ki kuchh pattiyan rakh kar bichhadte waqt us ne mujh ko sine se lagaya tha