diwangi ne khub karishme dikhae hain aksar tere baghair bhi hum muskurae hain ab ai gham-e-zamana tera kya khayal hai hum apne sath le ke gham-e-ishq aae hain mai-khane ki taraf jo badhe hain to hoshiyar kaba ka rukh kiya hai to hum dagmagae hain ek subh-e-zar-nigar ki khatir tamam raat hum ne kai charag jalae bujhae hain hum par bhi rahguzar-e-mohabbat ko naz hai hum ne bhi kuchh nuqush mita kar banae hain yun bhi mili hai mujh ko mere zabt-e-gham ki dad aksar wo sar jhukae hue muskurae hain hairat se dekhta hai zamana hamein 'ayaz' us tak pahunch pahunch ke jo hum laut aae hain