ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai wo khwahish-e-na-murad ab tak tamam shab mujh mein jagti hai wo ek basti jo so gai hai udas be-nam ho gai hai ba-harf-o-saut ab bhi chikhti hai ba-chashm-o-lab mujh mein jagti hai tere khayalon ki mamlikat ke tamam asnam gir chuke hain bas ek tamanna-e-kafirana bas ek talab mujh mein jagti hai main us ghadi apne aap ka samna bhi karne se bhagta hun wo zina zina utarne wali shabih jab mujh mein jagti hai is ek nigah mein main kab hun larzan use bhi is ki khabar nahin hai main khud bhi is baat ko nahin jaanta wo kab mujh mein jagti hai