diwar-e-dil se lipTi hui yaad aur hai

diwar-e-dil se lipti hui yaad aur hai
dar se jude fasanon ki tadad aur hai

be-khwabiyon ko ghaur se dekha to ye khula
khwabon mein ek rang tere baad aur hai

chahun to maslahat ko fariza qarar dun
par kya karun ki sunnat-e-ajdad aur hai

viraniyan hain mere mazafat mein magar
duniya koi wajud mein aabaad aur hai

aaina-e-khayal ke akson ne kah diya
hum se wara sipah-e-adam-zad aur hai

dariya ke bich bhul raha hun shanawari
sahil pe kya khabar koi uftad aur hai

tabdil is qadar hi saza ho saki meri
is bar mere waste jallad aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close