diye andheron ne baDh kar sahaare KHwabon ko

diye andheron ne badh kar sahaare khwabon ko
siraat-e-shab se guzarte hamare khwabon ko

kuchh aur bojh uthana bhi un ke zimme hai
koi to aankhon ke sar se utare khwabon ko

chala gaya hai jo ninden bikher kar meri
bulaun kaise ki aa kar sanware khwabon ko

kahin khala-e-adam mein zuhur-e-nur hua
dikhai dene lage hain nazare khwabon ko

kahin jazira-e-imkan kahin pe tabiren
bula rahe hain bahut se kinare khwabon ko

chhuda ke hath hue ratjagon mein gum aise
talash karte hain ab istikhare khwabon ko

mizaj us ne bigada hai umr bhar in ka
so ab ye waqt ki marzi sudhaare khwabon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close