diwar ro rahi hai koi dar bhi KHush nahin

diwar ro rahi hai koi dar bhi khush nahin
kurla rahi hai kunj kabutar bhi khush nahin

maidan mein chhod aae hain neze bhi dhaal bhi
ye jang jit kar mera lashkar bhi khush nahin

sahra se meri waise hi banti na thi kabhi
dariya khafa hai mujh se samundar bhi khush nahin

is aashiqi mein sab ko barabar sila mila
aajiz hue hain khwar to khud-sar bhi khush nahin

ai husn-e-ba-kamal tere lams ke baghair
kamra to aur chiz hai bistar bhi khush nahin

is khurdure libas se koi gila hi kya
mujh se to mera reshmi paikar bhi khush nahin

andar ke habs se hain tujhe masale magar
tu hujra-e-wajud ke bahar bhi khush nahin

duniya mein aa ke main hi akela nahin udas
duniya ki sair kar ke sikandar bhi khush nahin

main raqs kar raha hun hawa ho nahin raha
naraaz hain malang qalandar bhi khush nahin

aisi udasiyon ka basera hai in dinon
mujh sa faqir aap se mil kar bhi khush nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close