din-bhar dasht-nawardi kar ke KHud pe riqqat tari ki

din-bhar dasht-nawardi kar ke khud pe riqqat tari ki
hum ne apne dushman se bhi jaan se badh kar yari ki

us ne apne pas bitha kar ism-e-khas ka wird kiya
ramz mujhe malum na thi is tariki bedari ki

milti kab hai aasani se dar-dar jaana padta hai
sanbh ke main ne rakh li hai ye sab daulat khuddari ki

din-bhar ek faqir ne tere wasl ki khatir raqs kiya
shab-bhar tere diwane ne hijr mein girya-zari ki

gham ke musafir-khane se ho kar be-zar zamane se
darweshon ne dasht mein ja kar rahne ki tayari ki

sine se lagte hi gham ka bojh utarne lagta tha
thi maujud zamane mein ek rasm ki pursa-dari ki

sab diwane dekh ke mujh ko hairat se do-chaar hue
sar pe jab dastar sajai wahshat ki sardari ki

jagah jagah pe ashk-fishani sare kaghaz gile hain
baaten bilkul sach lagti hain ek majbur likhaari ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close