diya sa dil ke kharabe mein jal raha hai miyan diye ke gird koi aks chal raha hai miyan ye ruh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein ye jism saya hai aur saya dhal raha miyan ye aankh parda hai ek gardish-e-tahayyur ka ye dil nahin hai bagula uchhal raha hai miyan kabhi kisi ka guzarna kabhi thahar jaana mere sukut mein kya kya khalal raha hai miyan kisi ki rah mein aflak zer-e-pa hote yahan to panw se sahra nikal raha hai miyan hujum-e-shokh mein ye dil hi be-gharaz nikla chalo koi to harifana chal raha hai miyan tujhe abhi se padi hai ki faisla ho jae na jaane kab se yahan waqt tal raha hai miyan tabiaton hi ke milne se tha maza baqi so wo maza bhi kahan aaj-kal raha hai miyan ghamon ki fasl mein jis gham ko raegan samjhen khushi to ye hai ki wo gham bhi phal raha hai miyan likha 'nasir' ne har rang mein safed-o-siyah magar jo harf lahu mein machal raha hai miyan