zindagi ko na-muradi se koi shikwa nahin ab agar patthar se takraun to sar phahtta nahin pi rahi hai qatra qatra mere khwabon ka lahu main hun duniya ke liye mere liye duniya nahin mit chuke hain dil se yun haalat ke dhundle nuqush jis tarah guzra hua lamha kabhi aata nahin bhuk kheton mein khadi hai jeb mein mahngai-band shahr aur bazar mein galla kahin milta nahin apne pahlu mein samete ho gham-e-hasti ka nur aisa koi falsafa insan ko milta nahin koi paigham-e-tamanna koi paigham-e-amal sirf kah dene se to duniya mein kuchh hota nahin koi roe ya hanse 'parwaz' mujh ko gham nahin main to zinda hun mera ehsas-e-dil zinda nahin