diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein

diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein
kaho patangon se raqs kar len charagh ki dhimi raushni mein

muaf ai naz-e-rahnumai pahunch ke manzil pe bhi na pai
wo lazzat-e-khwab jo mayassar hui sar-e-rah-e-khastagi mein

wafa ko thodi si be-niyazi kam-iltifati ne teri de di
ab aur kya chahiye khudi ko teri mohabbat ki be-khudi mein

chhupi na jab khak-e-astan se chhupegi kya chashm-e-nukta-dan se
wo ek shikan jo zara si ubhri jabin-e-majbur-e-bandagi se

idhar andhere ki lanten hain udhar ujale ki zahmaten hain
tere musafir lagaen bistar kahan pe sahra-e-zindagi mein

'jamil' hum uth ke gir pade aur guzar gaya karwan hamara
ghubar ki baat tak na puchhi musafiron ne rawa-rawi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close