dekhta hun tujhko aksar ai samundar ai samundar

dekhta hun tujh ko aksar ai samundar ai samundar
jaise ho tu mere andar ai samundar ai samundar

tere tufanon ne ki yalghaar chattanon pe shab bhar
shor tha baam-e-falak par ai samundar ai samundar

dhundhti hai aankh sath-e-ab par chehra kisi ka
tu bana de us ka paikar ai samundar ai samundar

be-karani mein tu apni meri virani samo le
main hua hun phir se be-ghar ai samundar ai samundar

tirgi ki phailti chadar hai hum donon hi chup kyon
gunj uth manzar-ba-manzar ai samundar ai samundar

dekhne aaya hai tujh mein dur se chal kar 'owaisi'
dubte suraj ka manzar ai samundar ai samundar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close