diye hain zakhm zamane ne be-shumar mujhe zahe-nasib mila dil bhi dagh-dar mujhe sukun de na sake dasht-o-kohsar mujhe mila na ru-e-zamin par kabhi qarar mujhe na aa saka tere wada pe eatibar mujhe hai sirf ab to qayamat ka intizar mujhe gulon ke pyar ne uljha diya hai kanton mein chaman mein deni padi qimat-e-bahaar mujhe kahan se aaya kahan jaunga khuda jaane khud apni yaad satati hai bar bar mujhe kuredte rahe har ek zakhm-e-dil mera tasalli dene ko aae the gham-gusar mujhe ye zindagi bhi mere bas mein ab nahin 'salik' nahin hai jaan bhi dene ka ikhtiyar mujhe