lakh tufan ke hon tez dhaare aadmi wo jo himmat na haare ye saman ye faza ye nazare umr-e-rafta ko koi pukare meri manzil pare aasman se sab meri rah mein hain sitare hai har ek chiz insan ki zad mein aasman chand suraj sitare pane walon ne manzil bhi pa li rah gae sirf qismat ke mare gham nahin mujh ko kashti ka lekin dub jate hain aksar kinare ab ye rishta nahin tutne ka tum hamare hue hum tumhaare ab to viraniyan har jagah hain kyon banon mein phirun mare mare kitni dilchasp hai khud-farebi jitne ki tamanna mein haare us chaman mein nahin aashiyana apne hathon se jis ko sanware ai talatum udhar ek thapeda hain jo ab tak kinare kinare hai ye paimana-e-zarf 'salik' zindagi muskura kar guzare