diye jalae gae aaine banae gae koi batae yahan kaun log aae gae mata-e-dirham-o-dinar par nahin mauquf main so gaya to mere khwab tak churae gae bahut se log satae gae hain duniya mein magar wo mujh se ziyaada nahin satae gae charagh sard hue dhup ki tamazat se darakht nind ke aalam mein thartharae gae panah mil na sakegi kisi ko ghar mein bhi tuyur subh se pahle agar udae gae sahar ke waqt hua faisla nikalne ka qadam badhane se pahle diye badhae gae kisi ke aam se chehre ko bhulne ke liye hazar rang ke sapne mujhe dikhae gae phir ek bar usi dhang se bahaar aai saron ki fasl kati phul bhi ugae gae zamin panw pakadti hai us ilaqe ki kahin jo khoe gae us gali mein pae gae mujhe thi jin ki ghulami ki aarzu 'sajid' asir kar ke mere samne wo lae gae