main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka kaba jahan jawab na pae salam ka sikka rawan hai kis but-e-mahshar-khiram ka naqsh-e-qadam nagin hai qayamat ke nam ka kya pas-e-ghair-e-qasd hai gar qatl-e-am ka ek murda dur rakh do masiha ke nam ka ai rah-rawan-e-manzil-e-maqsud marhaba chamka kalas wo rauza-e-darus-salam ka khanjar sambhaaliye pa-e-taslim kham hain hum gardan jawab le ke uthegi salam ka ghash kaisa main to tarz-e-takallum pe mar gaya musa ne kuchh bhi lutf na paya kalam ka mujh se hua hai wada-e-roz-e-jaza abhi dete ho kya jawab adu ke payam ka ai 'shola' kah do bulbul-e-khuld-e-barin se ab gul-dasta bandh le mere rangin kalam ka