diye jo kar diye gul ahd-e-shab mein rahte hue ye ehtijaj tha hadd-e-adab mein rahte hue har ek baat pe ashk har nai sahar se gurez baras guzar gae kyun aur kab mein rahte hue wo log kaun the kis aab-o-gil ka paikar the jo phul jaise the dasht-e-ghazab mein rahte hue guzishtagan-e-mohabbat se kuchh hunar le kar juda sabhi se rahe aur sab mein rahte hue kabhi jo yaad mujhe aa gaya mera bachpan to aankh nam hui bazm-e-tarab mein rahte hue main apni zat ki pahchan tak ganwa baitha khayal-e-izzat-e-nam-o-nasab mein rahte hue hadis-e-dil bhi to main likh nahin saka 'ashfaq' hujum-e-halqa-e-sher-o-adab mein rahte hue