jis ne tujhe khalwat mein bhi tanha nahin dekha us dekhne wale ka kaleja nahin dekha uf uf wo uchatti si nigah-e-ghalat-andaz is tarah se dekha hai ki goya nahin dekha jis gul ko ye sab dhundti phirti hain hawaen tu ne to use nargis-e-shahla nahin dekha dam aankhon mein atka hai khuda ke liye aao phir ye na gila ho mera rasta nahin dekha 'shair' ye ghazal likkhi hai ya jad diye moti duniya mein qalamkar bhi aisa nahin dekha