diye munderon ke raushan qatar hone lage lawen tarashne wale farar hone lage dabiz pardon pe manus lahren uthne lagi hawa ke hath darichon se par hone lage adu bhi bharne lage dam teri rifaqat ka ab aise-waise tamashe bhi yar hone lage ab aane wali kisi rut ka intizar ho kya jadon se apni shajar daghdar hone lage falak ke purze ab udne mein koi der nahin pahad sarke zaminon mein ghaar hone lage khula mahaz to hogi hamari paspai hum apne khauf-e-darun ka shikar hone lage safar hai sakht bahut sakht agle mod ke baad chamak rahe the jo manzar ghubar hone lage na koi mauj-e-tamasha na aks-e-hairat 'ramz' hamare aaine be-e'tibar hone lage