khu-e-gham dil ko hai yani his-e-gham kuchh bhi nahin kya hai ab kar-gah-e-naz-o-sitam kuchh bhi nahin roz-e-fariyaad se maghlub nahin taqat-e-shukr jabr-e-taqdir-e-giran bari-e-gham kuchh bhi nahin zindagi muzda-e-gham maut nawed-e-gham-e-nau koi rudad ba-har-shan-e-karam kuchh bhi nahin ek taraf hashr mein tu ek taraf bahr-e-karam daman-e-tar to ab ai dida-e-nam kuchh bhi nahin darkhur-e-be-khudi-e-dil na alam hai na surur zahr-e-gham kuchh bhi nahin saghar-e-jam kuchh bhi nahin farq-e-zarf-e-dil-o-paimana-e-taqdir na puchh us ne bharpur diya aur use gham kuchh bhi nahin kya khabar kya hai ye hangama-e-hasti 'mani' hum ko itna to hai malum ki hum kuchh bhi nahin