diye nigahon ke apni bujhae baitha hun tujhe main kitne dinon se bhulae baitha hun mere liye hi dhadakta hai kaenat ka dil kahan akela koi bojh uthae baitha hun ghubar-e-rah ude to koi umid jage main kab se rah mein palken bichhae baitha hun hunar jo khwab churane ka main ne sikha hai yahan pe kitnon ki ninden udae baitha hun kahin wo mujh se mujhe mang le to kya hoga main apne aap ko kab ka ganwae baitha hun