bade khatre mein hai husn-e-gulistan hum na kahte the chaman tak aa gai diwar-e-zindan hum na kahte the bhare bazar mein jins-e-wafa be-abru hogi uthega e'tibar-e-ku-e-jaanan hum na kahte the usi mahfil usi bazm-e-wafa ke goshe goshe mein lutegi masti-e-chashm-e-ghazalan, hum na kahte the isi raste mein aakhir wo kadi manzil bhi aaegi jahan dam tod degi yaad-e-yaran hum na kahte the khizan ki aahaton par kanpti hain pattiyan gul ki bikharne ko hai ab zulf-e-bahaaran hum na kahte the dil-e-fitrat-shanas aakhir kahin yunhi dhadakta hai fareb-e-husn hai jashn-e-charaghan hum na kahte the