diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai hawa ab subh ke aasar le kar ja rahi hai hamesha noch leti thi khizan shakhon se patte magar is bar to ashjar le kar ja rahi hai main ghar se ja raha hun aur likhta ja raha hun jahan tak khwahish-e-didar le kar ja rahi hai khala mein ghaib ki aawaz ne chhoda hai mujh ko main samjha tha mujhe us par le kar ja rahi hai mujhe us nind ke mathe ka bosa ho inayat jo mujh se khwab ka aazar le kar ja rahi hai yahan par raat ko achchha nahin kahta hai koi so apne kasa o dinar le kar ja rahi hai tamashe ke sabhi kirdar mare ja chuke hain kahani sirf ek talwar le kar ja rahi hai