nigah-e-mast mein kya rang-e-walihana tha surur-o-kaif mein duba hua zamana tha kisi ki uthti jawani ka jab zamana tha meri nigah ka har feal shairana tha sitam-nasib ki allah re sokhta bakhti hai bijliyon ka nasheman jo aashiyana tha azal se qaid-e-anasir ata hui mujh ko mere nasib mein zindan ka aab-o-dana tha wufur-e-dard se jab hichkiyan si aane lagin har ek zakhm ke lab par mera fasana tha shuru-e-ishq mein kya meri shairi thi na puchh falak pe murgh-e-takhayyul ka aashiyana tha watan mein hazrat-e-'altaf' zindagi apni bahaar khuld-e-mohabbat ka ek fasana tha