do aankhon ko chaar kiya ja sakta hai

do aankhon ko chaar kiya ja sakta hai
sapnon ko sakar kiya ja sakta hai

duniya ka didar kiya ja sakta hai
aankhon ko sansar kiya ja sakta

habs-e-ana mein in ko zaea mat kar jaan
in lamhon mein pyar kiya ja sakta hai

tujh se jitna ishq kiya hai utne mein
duniya ka uddhaar kiya ja sakta hai

hum marzi se dube hain warna tujh ko
aasani se par kiya ja sakta hai

khushiyon ki mana kuchh qillat hai lekin
gham ka to ambar kiya ja sakta hai

par bhi ho sakta hai nafrat ka dariya
ulfat ko patwar kiya ja sakta hai

ishq ye sunte hain hota hai bahut mushkil
han lekin sarkar kiya ja sakta hai

mar jaana hi ek tariqa thodi hai
jina bhi dushwar kiya ja sakta hai

yaaden hi aghyar rahengi sat janm
khalwat ko to yar kiya ja sakta hai

bachche ab ye jaan gae hain zid karke
budhon ko lachaar kiya ja sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close