ab is ka aur kya anjam hoga By Ghazal << hijrat karo to rishta-o-s... do aankhon ko chaar kiya ... >> ab is ka aur kya anjam hoga mohabbat kar ke jo badnam hoga abhi insan hai tishna-kaam-e-ulfat abhi nam-e-wafa badnam hoga jo aaghaz-e-sahar ka hai nazara wahi mera charagh-e-sham hoga kali par raat bhar roegi shabnam tabassum maut ka paigham hoga Share on: