do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui jism ne jism se sargoshi ki ruh ki ruh se baat hui do dil the aur ek sa mausam jis ki sakhawat aisi thi main bhi ek barkha mein nahaya wo bhi abr-sifat hui us ke hath mein hath liye aur dhup chhanw mein chalta hua yun lagta tha sari duniya jaise mere sath hui sari umr suragh na milta apne hone na hone ka ye ek lahr lahu ki jaanan donon ka isbaat hui is mausam ne jate jate ek do pal ki barish ki phir wahi halqa panw mein aaya phir wahi gardish sath hui