dukhata hai mera dil be alif re hua hun ranj se main ze alif re udain dhajjiyan bhi tu ne lekin chhuta daman na tujh se khe alif re gareban-gir hai ye jo wahshat na rakkha nam ko bhi te alif re khushi se kat le qatil mera sar hua hai ab to mujh ko be alif re nigahon ko kahun kyun-kar na barchhi ki sine se hui hain pe alif re ilahi ze alif re to hua hun pa chashm-e-ghair mein hun khe alif re liya hai dil tumhaara us ne 'anjum' kare aankhen wo kyunkar che alif re tasawwur gul-rukhon ka 'asman' kyun gale ka ho gaya hai he alif re