do-chaar kya hain sare zamane ke bawajud hum mit nahin sakenge mitane ke bawajud ye raaz kash baad-e-mukhalif tu jaan le kyun jal rahe hain tere bujhane ke bawajud ab bhi bahut ghurur hai ek hath par use ek hath hadse mein ganwane ke bawajud buzdil tha mustahiq tha main mujh ko saza mili bakhsha na us ne hath uthane ke bawajud khwabon ke shauq mein kahin aankhen ganwa na den hum so rahe hain nind na aane ke bawajud